Wednesday 30 September 2020

Bas aaj hi hai zindagi

Hamesha doshi main hi kyun saabit ho jaati hoon,

ki galti tumhari ho ya meri kasurvar hamesha main hi hoti hoon.

Ki pal bhar mein tumne keh diya ki tum jhel rahe ho sab,

ek baar na socha, ki prayas to maine bhi kiye h tumhe ik achhe mukaam par lane k liye.

Aaj zindagi ki in gulshan galiyo mein jaddojahad kya aai, 

tumne to keh diya bebak ki is jaddojahad ka kaaran main hoon.

Tumne keh diya ki zindagi ek seedhi patri par aane do,

tab baaki cheezon par dhyaan lagaenge,

ki kese btaun ki zindagi to kabhi patri par aati hi nhi,

ki jo pal hain, vo aaj hain, ki khushi manane ke liye bahana nhi dhoondhna hota,

ki mohobbat jatane k liye, avsar nahi dhoondhna hota.

Agar tumhe abhi se sab bojh lagne laga hai, to ye safarnama kaise tay karoge,

ki saath mein jo baat hai, vo akele mein kahaan,

agar sath mein chalna hi nhi tha, to humsafar kyun chuna.

Log kehte hain ki haqiqat mein raho, pariyo k sapno wali duniya mein nhi,

main kehti hu ki sapno ko sach karna hi to insaan ki fitrat hai.

Ek din ye pal nikal jaenge, tum yaad karoge ki vo pal the khush rehne ke,

zindagi ke ulat palat ki is adhedbun mein jo humne yoon hi zaya kar diye,

ki zindagi ka ek ek pal, ret ki tarah hai, jitna zor se pakdoge, utni tez fisalega.

Aakhir mein bas yahi kahungi, ki yaad rakhna ki uljhan k pal hamari zindagi mein bhi aae the,

par humne tumhe kinare karne ki jagah, tumhe apni shakti banaya tha...💖

1 comment: